Muhabbat ka teri Banda Har Ek Ko Aey Sanam Paya

Muhabbat ka teri Banda Har Ek Ko Aey Sanam Paya Picture
Muhabbat ka teri Banda Har Ek Ko Aey Sanam Paya

Mohabbat Ka Teri Banda Har Ek Ko Ae Sanam Paya
Brabar Gardan e Shah o Gada Dono Ko Kham Paya

Ba-rung e Sham'a Jis Ne Dil Jalaya Teri Doori Mein
To Us Ne Manzil e Maqsood Ko Zair-e-Qadam Paya

Baja Karte Hain Ashiq Taaq-e-Abroo Ki Parastaari
Yahi Mehraab e Dair o Ka'aba Mein Hum Ne Kham Paya

Hazaaron Hasraten Jaavengi Mere Saath Duniya Se
Sharaar-o-Barq Se Bhi Arsa-e-Hasti Ko Kam Paya

Siwaye Ranj Kuch Haasil Nahin Hai Iss Kharabe Mein
Ghanimat Jaan Jo Araam Tu Ne Koi Dam Paya

Nazar Aaya Tamaasha-e-Jahan Jab Band Kein Aankhein
Safa-e-Qalb Se Pehlu Mein Hum Ne Jaam-e-Jam Paya

Jalaya Aur Maara Husn Ki Nairang Saazi Ne
Kabhi Barq-e-Ghazab Us Ko Kabhi Abr-e-Karam Paya

Hua Hargiz Na Khatt-e-Shoq Ka Saaman Durust Aatish
Siyahi Ho Gae Nayab Agr Hum Ne Qalam Paya