Dekha Yan Aaina Fikr Nay Jab Safa e Aab Dar Sukhan Ka

Dekha Yan Aaina Fikr Nay Jab Safa e Aab Dar Sukhan Ka Picture
Dekha Yan Aaina Fikr Nay Jab Safa e Aab Dar Sukhan Ka

Daikha Yaan Aaina Fikar Ne Jab Safa e Aab Dar Sukhan Ka
Dehan Ko Johar Khula Zuban Ka, Zuban Ko Aqda Khula Dehan Ka

دیکھا یاں آئینہ فکر نے جب صفائے آب در سخن کا
دہن کو جوہر کھلا زباں کا، زباں کو عقدہ کھلا دہن کا

Nazar Jo Aajaye Baid Majnoon To Ro'oun Majnoon Ki Yaad Mein Khoo'n
Jo Daikhoon Taisha To Sar Ko Phoroon Khayal Bandh Jaye Koh'kun Ka

نظر جو آجائے بید مجنوں تو روؤں مجنوں کی یاد میں خوں
جو دیکھوں تیشہ تو سر کو پھوڑوں خیال بندھ جائے کوہکن کا

Bar'hana Aaya Tha Yaan Adam Se, Bar'hana Yaan Se Chala Adam Ko
Naa Boo'ey Kafoor Mein Ne Soonghi, Naa Daagh Mujh Ko Laga Kafan Ka

برہنہ آیا تھا یاں عدم سے، برہنہ یاں سے چلا عدم کو
نہ بوئے کافور میں نے سونگھی، نہ داغ مجھ کو لگا کفن کا

Nigah e Awwal Mein Chashm Mai Goo'n, Yeh Rang e Mehfil Kary Dagargoon
Woh Haal Howay Jo Waqt e Aakhir, Sharab Khoron Ki Anjuman Ka

نگاہ اول میں چشم مے گوں، یہ رنگ محفل کرے دگرگوں
وہ حال ہووے جو وقت آخر، شراب خوروں کی انجمن کا

Jo Haal Parwana e Ishq Mein Hai, Wohi Muhabbat Aalam e Dil
Woh Shama Faanoos Ka Hai Kushta, Ye Saukhta Noor Pairhan Ka

جو حال پروانہ عشق میں ہے، وہی محبت میں عالم دل
وہ شمع فانوس کا ہے کشتہ، یہ سوختہ نور پیرہن کا

Naa Ye Nazakat Pari Mein Hogi, Naa Hoor Mein Ye Nazakat Aatish
Jo Haar Phoolon Ka Us Ne Pehna, To Bojh Uthaya Hazaar Mann Ka

نہ یہ نزاکت پری میں ہوگی، نہ حور میں یہ نزاکت آتش
جو ہار پھولوں کا اس نے پہنا، تو بوجھ اٹھایا ہزار من کا