Mohabbat Ka Teri Banda Har Ek Ko Ae Sanam Paya
Brabar Gardan e Shah o Gada Dono Ko Kham Paya
Ba-rung e Sham'a Jis Ne Dil Jalaya Teri Doori Mein
To Us Ne Manzil e Maqsood Ko Zair-e-Qadam Paya
Baja Karte Hain Ashiq Taaq-e-Abroo Ki Parastaari
Yahi Mehraab e Dair o Ka'aba Mein Hum Ne Kham Paya
Hazaaron Hasraten Jaavengi Mere Saath Duniya Se
Sharaar-o-Barq Se Bhi Arsa-e-Hasti Ko Kam Paya
Siwaye Ranj Kuch Haasil Nahin Hai Iss Kharabe Mein
Ghanimat Jaan Jo Araam Tu Ne Koi Dam Paya
Nazar Aaya Tamaasha-e-Jahan Jab Band Kein Aankhein
Safa-e-Qalb Se Pehlu Mein Hum Ne Jaam-e-Jam Paya
Jalaya Aur Maara Husn Ki Nairang Saazi Ne
Kabhi Barq-e-Ghazab Us Ko Kabhi Abr-e-Karam Paya
Hua Hargiz Na Khatt-e-Shoq Ka Saaman Durust Aatish
Siyahi Ho Gae Nayab Agr Hum Ne Qalam Paya