Aalam e Mantak Musavir Ho Teri Tasveer Ka
Muh Kitaabi Qutbi Hai, Khat Haashiya Hai Meer Ka
Jis Se Lipta Sookha Majnoon Ki Trah Se Wo Darakht
Ishq Paichan Per Mujhe Hota Hai Shak Zanjeer Ka
Hijr Ke Sadmay Se Khoobi Ishq Ki Zaahir Hue
Zakhm Ki Eza Se Johar Khul Gaya Shamsheer Ka
De Saka Bosa Na Ik Wo Barq e Wish Khairat e Husn
Maaldaar Bekaram Bhi Abar Hi Tasveer Ka
Rutba e Musa Namaz e Panjgana Ne Dia
Paanch Waqt Allah Se Mauqa Raha Taqreer Ka
Kaisi Kaisi Sooraton Ke Apnay Dil Mein Daagh Hain
Is Marqaa Mein Bhi Hai Kia Kia Warq Tasveer Ka
Rok Munh Per Dar Qaatil Ka Sipar Ki Trah Se
Mard Ke Chehay Ka Zaivar Zakhm Hai Shamsheer Ka
Ma'arkay Mein Haath Qaatil Ki Kamar Mein Daaliye
Khainchiye Daaman Sar e Maidan Giraiban Geer Ka
Chaak Hota Hai Kittan Mere Giraiban Ki Trah
Yeh Bhi Deewana Hai Aatish Chand Si Tasveer Ka