Hashr Ko Bhi Daikhny Ka Uska Armaa'n Reh Gaya
Din Hua Par Aaftab Aankhon Se Pinhaan Reh Gaya
Paas Ulfat Se Junoon Mein Bhi Na Kapray Phat Skay
Tauq Ban Ker Meri Gardan Mein Giraiban Reh Gaya
Husn Mein Bhi Izzat o Zillat Khuda Ke Haath Hai
Gull Ko Perahan Mila To Shaula Uriyan Reh Gaya
Bastiyan Hi Bastiyan Hain Gunbad Aflak Mein
Sainkron Farsang Majnoon Se Bayabaan Reh Gaya
Ker Ke Aaraish Jo Dekhi Us Sanam Ne Apni Shakal
Band Aankhen Ho Gaein, Aae'ina Hairan Reh Gaya
Kaarwan e Nighat Gull Ker Gaya Gulshan Se Kooch
Surat Naqsh e Qadam Gulzaar Hairan Reh Gaya
Shaam e Hijran Subah Bhi Ker Ke Na Daikha Roz e Wissal
Saanp Ko Kuchla Per Aatish e Ganj Pinhan Reh Gaya